Wednesday, February 9, 2011

jannat k 8 darwazay hain
1. jannatul mava
2. darul maqam
3. darul salaam
4. darul khuld
5. jannatul adan
6. jannatul naim
7. jannatul kasif
8. jannatul firdos

7 k Hindsay me shayad koi hikmat hai

7 k Hindsay me shayad koi hikmat hai.
ALLAH RABB-UL- IZZAT NE
7 Zameen, Aasman 
7 Din Haftay Me,
7 Manzilen Quran pak me
7 Dunya k Bar-e-Azam 
7 Qos-o-Qazah k Rang. 
7 Tawaf-E-KABA K Chakar
7 Ayat Suraha-e-Fatitha main

Kia ye A.B.C. Ap ko Ati hy.

Kia ye A.B.C. Ap ko Ati hy.
A
Allah se dro.
B
Bismillaha se shuru kro.
C
Chori na kro.
D
Deen sikho.
E
Elm hasil kro
F
Farz ada kro
G
Gussa mat kro
H
Haj kro
I
Ibadat kro
J
Jamat se namaz peraho
K
Kaalma parho
L
Lailaha illallaha Muhammadur rasullaha
N
Nawafil ada kro
O
Omer ka lehaz kro
p
Pardaha kro.
Q
Quran perho.
R
Roza Rekho
S
Shukar ada kro
T
Toba kro
U
Umeed rkho
V
Vazu se reho
W
Waqt5 ki qadar kro
X
Xtra zikr kro
Y
Yaqeen ALLAHA pr rakho
Z
Zikr ALLAHA kakro.

Jo haq ko chhor kr izzat ka talab-gaar hota hai,

Jo haq ko chhor kr izzat ka talab-gaar hota hai, wo zaleel ho kr rehta hai aur jo haq k sath dushmani rakhta hai, zillat us ka hmesha k liay muqaddar bn jati hai Hazrat Ali (r.a)

If you had only 10 days to live, what would you strive for NOW?

Monday, February 7, 2011

ALLAH k khouf se sirf 1 gunah chor dena 1 lakh tahajud/nafil namaz se barh kar hai,


Ustaad ki maar baap k pyar se achi hai
[HAZRAT LUQMAN (A.S)]



Chand k baghair raat bekar hai, aur ilm k baghair zehan.
[HAZRAT ABU BAKAR(RAA)]



Jo tujhey teri khamiyan batayewo tera dost hai.
[HAZRAT UMER (RAA)]



Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.
[HAZRAT ALI (RAA)]

Monday, August 23, 2010

5 cheezon ki 5 jaga hifazat karein..

1: Mehfil me ZUBAN ki.
2: Bazar me AANKH ki.
3: NAMAZ me DIL ki.
4: Dastarkhwan pe PAYT ki.
5: Nigah may haya ki.

Jab tum me se koi shaks Janaza dekhe

Hadees-e-Pak
Jab tum me se koi shaks Janaza dekhe
or us k sath na ja sake to us waqt tak khara Rahe
jab tak wo agay na nikal jaye.
(Muslim, Vol#1, Pg# 671)

The basic fact of relation B/W ALLAH and Humman.

The basic fact of relation B/W ALLAH and Humman.
ALLAH Gives Gives & forgives.......
Human; Gets,Gets & forgets....

Thursday, August 19, 2010

Ta'ajjub Hai:

KHUDA Apni Itni Sari Makhlooq Me Se Bhi
Meri Choti Se Choti Zaroorat Nhi Bhoolta.
Or
KHUDA To Ek Hi He,
Phir Bhi HUM Use Bhool Jate Hain.
NABI-E-KARIM SALLALLAH ALAYHA WASALLAM ki dua ka mafhoom,
aey ALLAH me tari panah mangta hoon burrhapay,buzdily,bukhul,aazab-qabar aur fitna-e-dajjal se, (AMEEN)

Aulaad pr MAA, BAAP ka kya haq ha?


Hazrat Abu Imaama (R.A)
farmaty han k aik shakhs ALLAH ky Rasool (S.A.W.W) ki khidmat ma hazir hoya aur aerz kya:
Ya-Rasulallah (S.A.W.W) aulaad pr MAA, BAAP ka kya haq ha?
Ap (S.A.W.W) ne irshad farmaya:
Doono taary lye jannat b han aur dozakh b. (yani in ki khidmat jannat aur in ki naarazgi dozakh ha

Sub se pehly qyamat ma js chez ka bandy se hisaab ho ga wo NAMAZ ha,

Hazrat Abdullah Bin Qaart (R.A) se raiwyat ha k Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
Sub se pehly qyamat ma js chez ka bandy se hisaab ho ga wo Namaz ha, agr wo is pr pura autrta ha to is ky saary amal drust hon gay. Agr Namaz kharab nikli to is ky saary amal khrab niklyan gay.

usk dar py sakon milta hai

usk dar py sakon milta hai
uski ibadat se nor milta hai
jo jhuk gya ALLAH k sajdy me
use kuch na kuch zaror milta hai



5 NAMAZO KA TOHFA 
FAJAR      CHERE KA NOOR
ZOHAR     ROZI ME BARKAT
ASAR       BADAN KE TAQAT
MAGRIB    NAIK AOULAD
ISHA       SUKUN KE NEEND
[BUKHARI SHARIF]

LOG piyar k liye hote hain or cheezen Istemal k liye

LOG piyar k liye hote hain or cheezen Istemal k liye .baat tb bigarti hy jb cheezon se piyar kia jaey or logon ko istemal kia jaey.
(Hazrat Ali Razi ALLAH-o-Ta'ala Anho)

ALLAH-humma aajirni minan-naar

The fire of jahannam will not touch the person who recites "ALLAH-humma aajirni minan-naar". It will be Sadqa-e-Jaaria.


ALLAH-humma aajirni minan-naar

Monday, August 16, 2010

HADIS E NABVI:

HADIS E NABVI:
wo jism jannat me dakhil nahi hoga jiski parvarish HARAM (maal) se ki gai ho.


HADIS E NABVI:
SUN LO: beshak DUNYA lanat ki gai he aur lanat ki gai he jo kuch is me he.. magar ALLAH ka zikar aur jo is se
areeb karne wali ho..
aur AALIM (jaanne wala) aur MUTALLIM( SEEKHNE WALA)(DEEN KA ILM).


HADIS E NABVI:
RAB Ki raza mandi walid ki raza mandi me he...
AUR, RAB ki narazgi walid ki narazgi me he...!

Thursday, August 12, 2010

Aasmani darwaze 6 waqt khultay Hain.

Aasmani darwaze 6 waqt khultay Hain...(Jis se duaen qabool hoti hain.)
1. Azan k waqt
2. Barish k waqt.
3. dushman-e- Islam per hamla kertay waqt
4. zawal- shamsh k waqt
5. Taluoo e fajar k waqt.
6. Mazloom ke aah ka waqt,
so please is waqt qasrat se dua manga krain

Jannat 5 Aadmmion per aashiq ha,

Jannat 5 Aadmmion per aashiq ha,
1. Quran sharif parhanay wala per
2. Zaban ko fazool baton se roknay walay par,
3. Bhokay ko khana kilianay wala par
4. Dosron ki Madad karnay walay per
5. Or HAZRAT MUHAMMAD (S.a.w)PAR DARUD BHEJNEY WALAY PER.
SUBHAN ALLAH.

7 Asmanoon k name and colours

7 Asmanoon k name and colours
1. Rafi(pani jaisa)
2. Qaydoom(tanbay-jesa)
3. Madoon(peetal-jesa)
4. Arfloon(chandi-jesa)
5. Hayoon(sonay-jesa)
6. Aroos(yaqoot-jesa)
7. Aima(safiaf-jesa)

Wednesday, August 11, 2010

TAJURBA SABSE BARA USTAD HE


  1. Zamana jismo ko bosida aur ummido ko taza karta rehta he maut ko kareeb aur tamannao ko baeed karta rehta he jo isme kamyab raha vo mashakkat me par gaya aur jise kuchh na mila vo ranj me mubtala ho gaya.
  2. TAJURBA SABSE BARA USTAD HE 
  3. Hamesha insaf karne wale ke mustakil dost zyada hote hein.
Hazrat.Ali r.a

Jab apne liye DUA karo to doosron

RASOOLALLAH( S.A.W) ne farmaya:
Jab apne liye DUA karo to doosron ko bhi yaad kiya karo,
Kya pata uss k naseeb ki khushi tumhari DUA k intezar mein ho...

Ek bar AAP (S.A.W) NE Sehtan ko kamzoor dekha to

Ek bar AAP (S.A.W) NE Sehtan ko kamzoor dekha to waja pochi who bola
AAP(S.A.W.) ki ummat ki 6 khaslatain muj se bardasht nhi hoti...

  1.  millain tu salam kertay hain.
  2.  Musafaha kartay hain.
  3. jab koi kam karna chahty hain tu INSHALLAHA Kehty hain.
  4.  Istaghfar karty hain.
  5. AAP(S.A.W.) ka nam sunty hi durood bhaijity hain.
  6.  har kam ki Ibtada Bismillaha say karty hn.

Friday, April 30, 2010

" SUNAHRE AKWAL "


  1. KHOOBSURTI APNE ANDER TALAASH KARO, YEH TUMHE KAHI OR NAHI MILE GE.
  2. APNA ADAB KARWANE KE LIYE DOSRO KA ADAB KRO, TUMHARA AHTERAM KHUD BA KHUD KIYA JAIGA.
  3. KAREBE SE KAREBE DOST KO BHI APNE MAMALAT SE ITNA AAGHA KARO KE AGR WO KABHI TUMHARA DUSHMAN BHI HO JAE TO TUMHE NUQSAAN NA PHOCHA SAKE.
  4. AANKHO WALA SHAKS WO HAI JO APNE AIB AUR DOSRO KE HUNAR DEKHE.

Tuesday, April 27, 2010

KAAM KI BAATEIN

ILM DEEN WO HAI JO ALLAH TALAH KA KHAUF ZIADA KARE.....
[ HAZRAT IMAM GHAZALI REHMAT TULLAH ]


HAMARA DEEN (SARAPA) MUKAMAL ADAB HAI.
[ HAZRAT JAFFER SADIQ REHMAT TULLAH ]


JO SHAQS HARAM KHATA HAI, US KE TAMAAM AUZA GUNAH MEIN PAR JATE HAI.
[ HAZRAT MAROOF KARKHI REHMAT TULLAH ]

Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao

Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay
Tu sadqa de ker ALLAH se tijarat karo.
HAZRAT ALI (RAZI ALLAH TALA ANHO)

Thursday, February 11, 2010

Us shakhs se dosti karo jo neki kr k bhool jaye

Us shakhs se dosti karo jo neki kr k bhool jaye.
Hazrat Junaad Bagdadi


Beshak hum ne har cheez ko aik (Mukrarra) andazy se pedha kya ha.
Surat-al-qamar: 49


Jo shakhs ALLAH kay kammon main lag jata ha,
ALLAH is kay kammon main lag jata ha.
Hazrat Abu Bakar Sadeeq (R.A)


Sabqat krny waly to phir sabqat karny waly han wohi maqarrab loog han nemaat bhari janatton main rahyan gay.
Surat-al-Waiqya: 10-12

BEAUTIFUL DUAA

BEAUTIFUL DUAA
LAST AYAT OF SURAH BAQRAH
Ae hamare Rub Ager humse bhool hogai ho ya koie khata ki ho to hamari paker na kerna. Ae Hamare Rub hum per wo bojh na dal jis ki hum main taqat Na ho or hum se darguzar farmana, or hamien bakhsh dai . Ameen


Zalmon ko maaf karna mazloomon pr zulm ha.
Hazrat Umir (R.A)


Jinhon ne Namaz ko zaiyah kya aur khuish nafs ke perwvi ke wo jald he injaam bad se do-chaar hon gay.
Surat-al-Meryam: 59

Soraj ki kirnain zameen per parne se pehle uth jao

Irshad-e-Bari Taala hy:

Soraj ki kirnain zameen per parne se pehle uth jao, Kyun k us waqt Rizq banta ja raha hota hai.

  • Janat Ki Aarzu Main
  • Kahan Ja Rahe Hyn Log
  • Janat Tou Karbala Main
  • Khareedi HUSSAIN Ny
  • Dunya-o-Aakhrat Main
  • Jo Rehna Ho Chain Sy
  • Jeena ALI Sy Seekho
  • Marna HUSSAIN Sy

Logon ko utni jaldi maff kar diya karo jitni jaldi tum ...

Logon ko utni jaldi maff kar diya karo jitni jaldi tum ALLAH say muaafi ki umeed rakhte ho.
 HAZRAT UMAR FAROOQ (RaziALLAH Tala Anho)


Hussain teri ata ka chashma dilon k daman bhigo raha hy

Ye aasman per udas badal teri mohabat main roo raha hy
Saba bhi guzry jo Karbala sy, to us ko kehta hy arsh wala
Tu aur dheery guzar yahan sy, mera Hussain so raha hy


LIVE LIKE ALI (a.s)
DIE LIKE HUSSAIN (a.s)
INSAAN KO BEDAR TU HO LANE DU
HIR KOOM PUKARE GI K HAMARAY HEIN HUSSAIN

jo koi gatta-toop (sakht) aandahry main masjid ke tarf jaye ga

Ap (S.A.W.W) ne irshad farmya:
jo koi gatta-toop (sakht) aandahry main masjid ke tarf jaye ga,
usy qaymat ky din bay-hassab noor aata kya jaye ga.
Sahi Muslim.

Aik anmool sms:

Khuda aur insaan ky darmyan parda sirf nars ka ha,
jo insan khod he khara karta ha.